Best Tips for Achivement any goal
Hello friend’s
apka swagat hai mere ------------------youtube channel par.Is channel par ham motivational,
fact or knowledge se related videos bante rhte hai.To aap se vinti hai agar
apko video acchi lage to subscribe button ko dva do or bell-icon ko bhi press
kar do.Jesse ki ham jab bhi agli video upload kre to app tak notification
pahuch jaye.
Best tips
for fastest achievements any goal
1. Goal & vision define karna-
Kabhi kabhi kya hota h ki hum apne
goal or vision ko shi se define nhi kar pate ki yah hmara goal h ki vision.to
isme hum apko batyege ki yah apka goal ha or yah apka vision h
Goal-jab bhi ham apna goal deside karte hai to usme ek specific amount
/day peried hona chahiye .jisse vo time peried hamre dimag par bar bar jor dale
ki is time peried tak mushe yah kam pura karna hai. Ab iski sayclogi smjte h
jab hamre mind par davab padta hai to hamara dimag kaphi jaldi work karne lgata
hai. Isliye jab bhi ham apna goal set kare to usme time peried jarur dale
As – is month me 5000 product sale karunga.
Me 1 lack per kamana chahata hu
Vision- vision ek spne ki tarha hota hai .isme kuch deside nhi hota ki
kab tak mushe is work ko pura karna hai.
Vision k complet hone ki possibility keval 5% hi hoti
|
Specific goal
As- I want to
make 1 lack per month
Me is month 1000
product ki sale karunga
|
|
Idea &dream
As – ek din mushe
bhut sare paise kamana hai
Is bar me har exam me 100/100 marks launga
Is bar me us ladki se hi shadi kaunga
|
2-Set only
one goal at a time –
Ham log bhut bar dekhte hai ki log ek sath kai goal ek time me achieve
Karne lgte hai. Jisse hamara mind daivert ho jata hai or ham kisi bhi goal par
focous nhi kar pate hai or ant me ek bhi goal pura n hone par nirash hone jate
hai
Is liye ham jab bhi goal set kare to ek bar me ek hi goal set kre
As abhi ham sab new year par ek sath 4/5 goal ko pura Karne ka regulation le rhe hoge. hai
jese ki me mornig me daily walk par jaunga ,diet plan follow karunga ,early morning
Utah jaunga,is new year se sbhi nasha chod dunga etc.
Ham logo ko ek time me ek hi goal ko pura karne me ji jan se lag jana
chahiye.
Or dekhte hi dekhte ek ek karke ham sabhi goalon ko pura kar lete hai .
3-Goal setting-
apne goal ko jaldi pane k liye. Goal setting avasy karni chahiye. Chlo
isko ham do bhago me divide karke smjte hai
1- Short trum goal – vah goal jo hamko
jaldi chahiye ya kam se kam smay me pura karna hai.as mushe 2 month ki 5 date
ko apne pita ji ko ek pen gift karna hai. Goal hamra chote se chota ho sakta
hai
2-long term goal- long term goal 10sal ya 20sal ya usse bhi adhik samay
me tay krna hota hai .me 5sal bad apne liye ek accha sa ghar banaunga
4-Past ko bhul kar present par focous kare –
Ham sochte rhte hai ki mere ghar valo ne mere sath esa kiya wesa kiya,
mere rishtedaron ne mushe bhut apmanint kiya. Hamko esi sab bate bhul kar apne
present par focus karne chahiye.
Hamere sath Jo kuch ho chukka hai use badal to NHI sakte hai,lekin ab jo
aage hoga use ham apne anusar badal skte hai or apni puri energy ko apne goal ki
taraf laga skte hai.
Ye hamare liye plus point hota ki rishtedaon ne me apmanit kiya jab bhi
ham apne goal se distract hote hai to
ham unhi logo yada kare jinhone mushe apmanint kiya tha isse yah hoga ki ham ko
gusha aayega or ham us gushe ko apni xhmta k anusar shi disha me laga skte hai
5-Do not copy someone’s goal-
Kisi dusre
ko dekh kar apne goal ko set n kare
Kai bar dekha gya hai,log khte hai ki usne yah kam karke bahut sare rupey
ekkthe kar liye,kai makan bna liye tub hi yhi kar le lekin vo ye iske piche ki
reality nhi jante hai. Ki us yakti me kese kam or kin kin paristhithiye me
kiya.
Sabse bada udaharad hajaro log akashay,salman ko dekh kar actor bnne
Mumbai chle jate hai lekin kitne log bnte hai. Isliye hamko kabhi kisi k goal
ko copy nhi karna chahiye.
Chlo short me in point ko btate hai
· goal&vision
· set only one goal at time
· goal setting
· past ko bhul kar present par focous
· do not copy someone’s goal
hamne in 5 point k madhyam se smjane ki kosis ki hai ki ham apne kisi bhi
goal ko kitni aasani se paa skte hai.
Agar is video se apko jivan me 1% ka bhi badlab aata hai to me samjunga
ki mera video bnana safal ho gya.
Jai hind jay bharat
Comments
Post a Comment